Sending quran in sms - Roman English


kiya  islamic sms send nhi kar sktay?aksar log kehtay hai k sms delete hojate hai or ya QAYAMAT KI NISHANI HAI?

ek shazish ka moonh tod jawab.. aap me se kai log shayad is wahem me honge ki hume tou quran ki aayat aur hadeese msg. me aati hai, magar msg. box full ho jata hai tou use delete karni padti hai! ab kya kare qayamat ki nishani hai ki log apne haatho se quran mitayenge!!


== Answer in shariyah ==


Awwal tou ye jawab de doon ki quran ki aayat agar SMS me aajaye tou aap use delete kar sakte hai!


Wajah:


1) hamare pyare aaqa ke duar jab wahi nazil hoti tou waha par maujud sahaba paththar par ya mitti par ya darakhto ke patto par aayat likh liya karte. ab sochiye ki us daur me se hi paththar mitti par aayat likhi jati aur baad me wahi se kisi sakht chiz par wapas likh kar us pathathar ya mitti par likhi huwi aayat ko mita di jati thi. tou ye aayat ka mitna tou us daur se hi chalu tha, aaj se nahi.


2) us daur me aur hamare aaj ke madarse aur darool uloom me aaj bhi black board par bachcho ko quran ki aayat aur hadeese likha kar sikhai jati hai phir naya chapter par aane ke liye us likhe huwe ko mitaya jata hai. tou ye mitane ka silsila bhi isi tarah barso se chalta aaraha hai.


Ab asal baat ye ki Jiski Hifazat ALLAH TA'ALA Karay usey Koi Nahi Mita Sakta.


Quran e karim me ALLAH irshad farmata hai:"Bayshak Hum Nay Utara Hai Yeh Quran Aur Bayshak Hum Khud Is Ky Nigehbaan”


[Surah Al Hijr, Aayat 9, Parah 14 – Tarjuma Kanzul Iman]


Ab socho ki jiski hifazat mera RAB kare kya use koi mita sakta hai!! tou phir ye jahil kyun aise SMS phaila rahe hai ki Quran ki Aayate aur hadees na send kare!! Woh isliye ki ye badi shazish hai, kyunki jab se media aur social network aur Mobile aur TV jaisi chize hamare bich aayi hai tab se islam ke liye kaam karna hamare liye bada aasan ho gaya hai. tou kuch islam ke dushman ye nahi chahte ki islam ka iske zariye bol bala ho isliye aayate aur hadeeso ke galat matlab nikal kar phaila dete hai. unka kaam aise galat msg. ko phelana hai ki quran ki aayato ke msg na kare, woh delete ho jate hai aur qayamat ki nishani hai ki log apne hatho se use mitayenge. Bas unka kaam is msg ko send karna hai, uske baad jahil log use parh kar jaise bade hi islam ke humdard ho aise soch kar is msg. ko phelana shuru kar dete hai, aur dekhte hi dekhte sab jagah woh msg. pheil jata hai, aur log quran ki aatayo ko send karna band kar dete hai. aur is se un sazishkhoro ki shazish kamyab ho jati hai.


Ab aate hai asal Qayamat ki nishani par, kya kehti hai!


"Qayamat Ki Nishani me Lafz Mitna Nahi, Balky Ilm Ka Uth jana likha hai. yani ki ilm utha liya jayega. Ye nahi likha ki log apne haatho se mita denge.


Tou pata chala ki aap quran ki aayat ya hadees msg me ho tou use delete bhi kar sakte hai, aur iske dar se ki delete karna pdega isliye use send na kare tou ye bhi dar ab nikal gaya. Yani ab aap jho bhi achche qurani aayat ya hadees mile tou use zaroor aage forward kare, agar msg box full hojaye tou delete karna pade tou delete bhi kare.

Post a Comment

Previous Post Next Post